ab apnī ruuh ke chhāloñ kā kuchh hisāb karūñ

ab apnī ruuh ke chhāloñ kuchh hisāb karūñ

maiñ chāhtā thā charāġhoñ ko āftāb karūñ

mujhe butoñ se ijāzat agar kabhī mil jaa.e

to shahar-bhar ke ḳhudāoñ ko be-naqāb karūñ

us aadmī ko bas ik dhun savār rahtī hai

bahut hasīn hai duniyā ise ḳharāb karūñ

hai mere chāroñ taraf bhiiḌ gūñge bahroñ

kise ḳhatīb banā.ūñ kise ḳhitāb karūñ

maiñ karvaToñ ke na.e zā.iqe likhūñ shab-bhar

ye ishq hai to kahāñ zindagī azaab karūñ

ye zindagī jo mujhe qarz-dār kartī rahī

kahīñ akele meñ mil jaa.e to hisāb karūñ

RAHAT INDORI

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *